Ek rishta. Ek kahani. Ek geet.
Har rishte ka apna geet.
Unki kahani batao, hum unka geet banayenge. Hindi, Hinglish ya English mein, do version, aur WhatsApp par ek filmi premiere.
₹199 · GST shaamil · 10,000 jagah baaki

Now showing · Sample
Sample premiere suniye
Rohan ne apni Priya Didi ke liye yeh geet banwaya: Nani ki chhat, raat ke do baje, ek katori Maggi. Aapke geet mein aapki apni yaadein hongi.
Admit one: Didi
आधी मैगी
Starring: Didi · Music: Dhunzo · A Rohan production
मुखड़ा
प्रिया दीदी, याद है वो नानी की छत,
रात के दो बजे, एक कटोरी मैगी।
आधी तूने खाई, आधी मुझे दी,
बोली, “चुप! मम्मी को मत बताना।”
कोरस
ओ दीदी, मेरी दीदी,
तू डाँट भी है, तू ढाल भी है।
टीका हो दूज का, या रोज़ की लड़ाई,
तेरे बिना ये घर, घर ही नहीं।
Teen kadam
Aap kahani batao. Baaki hum.

Likhiye
Kiske liye, kaunsa mauka, aur 3 chhoti yaadein. Bolkar ya likhkar, Hindi, English ya dono mein.

Approve kijiye
Kuch minute mein lyrics aa jaate hain, naam ke saath. Koi line badalni ho toh badaliye, phir ek tap: "Perfect, geet banao".

Bhejiye
Do version ready, A aur B. Pasand wala chuniye aur WhatsApp par premiere ka ticket bhejiye.
Launch offer
Ek price. Sab kuch shaamil.
₹199 aapke pehle geet ke liye, pehle 10,000 customers ke liye. Phir ₹399.
India ke bahar se? $4.99 launch, phir $9.99.
Unka geet banaiyeChange of mind par refund nahi. Hum na bana paayein toh poora refund, apne aap. 15 din mein save kar lijiye. Poori refund policy
Har geet ke saath
- Lyrics jo aap khud approve karte hain
- Do recorded version: A aur B
- Premiere gift page, ek ticket link ke saath
- Dono geet aapke WhatsApp mein, hamesha ke liye
- Poster, 3 size mein (Status, square, link preview)
- Ek free remake, 7 din ke andar
Har rishta, har mauka
Kiske liye banayein?
Didi ki daant, Maa ka tiffin, Dadi ki lori. Jo yaad sirf aapki hai, wahi geet banti hai.






Aane wale tyohaar
Agla premiere kab hai?
Tyohaar se pehle bana lijiye. Geet kuch hi minute mein ready hote hain.
Sawaal-jawaab
Pehle yeh jaan lijiye
Kitne ka hai?
₹199 aapke pehle geet ke liye, pehle 10,000 customers ke liye. Phir ₹399. Dono mein GST shaamil hai.
India ke bahar se pay kar rahe hain toh $4.99 launch, phir $9.99.
Counter asli hai: jitni jagah dikhti hai, utni hi baaki hai.
Kya mujhe gaana ya kuch record karna hoga?
Bilkul nahi. Aap sirf kahani batate hain aur lyrics approve karte hain. Likhna, gaana aur music, sab hum karte hain.
Lyrics pasand na aayein toh?
Koi bhi line tap karke badal sakte hain, ya "Doosre shabd" se 2 naye draft le sakte hain.
7 din tak approve nahi kiya toh hum jaisa likha hai, waisa hi geet bana dete hain.
Geet banne ke baad 7 din ke andar ek free remake: naya mood, nayi awaaz ya naam ki spelling.
Refund milta hai?
Change of mind par refund nahi, kyunki har geet aapke liye alag se banta hai aur aap lyrics pehle approve karte hain.
Hum fail hon toh poora refund, apne aap: payment hua par order nahi bana, double payment, 24 ghante mein lyrics nahi aaye, approve ke 24 ghante baad bhi koi version nahi bana, ya humari galti se order ruka.
Sirf ek version bana toh woh milega, saath mein ek remake credit. Refund original payment method par, RBI ke time par, GST credit note ke saath.
Kya yeh AI se banta hai?
Haan. Dhunzo geet AI ki madad se likhta aur gaata hai, aur har gift page par saaf "Made with AI" likha hota hai.
Lyrics mein der ho toh ek insaan geetkaar unhe poora karta hai. Hum kisi singer ki awaaz ya kisi film ke gaane ki nakal nahi karte.
Kaun si bhasha mein geet ban sakta hai?
Abhi live: Hindi, Hinglish, English.
Waitlist par: Punjabi, Marathi, Gujarati, Bengali, Tamil, Telugu, Kannada, Malayalam, Odia, Bhojpuri. Jab aapki bhasha live hogi, WhatsApp par bata denge.
Meri kahani ka kya hota hai?
Aapki kahani, lyrics aur recordings 15ve din delete ho jaate hain. Dono MP3 aapke WhatsApp mein pehle hi aa jaate hain, toh geet aapke paas rehta hai.
Music video aapke phone par banta hai; photos upload nahi hote. Hum aapka data bechte nahi.
Jinke liye geet hai, unhe kya karna hoga?
Kuch nahi. Unhe ek ticket link milta hai. Kholte hi parda khulta hai aur geet bajta hai, lyrics ke saath. Koi login nahi.
WhatsApp: +91 96363 69360
Kiska geet pehle banega?
Teen minute mein kahani, kuch minute mein lyrics. Premiere aapke haath mein.
Unka geet banaiye